World Peotry Page (HI..THIS IS NOT JUST A BLOG, IT'S A PART OF MY HEART, MY EMOTIONS, AS IT CONTAIN MY OWN CREATIONS.... YOU CAN FIND HERE "LOVE SHAYARI, SAD SHAYARI, GHAZALS, LOVE SMS, FRIENDSHIP QUOTES,. IT MAY TOUCH YOUR HEART, SO KEEP GIVING LOOKS WITH NOT JUST YOUR READINGS BUT TRY TO TOUCH MY EMOTIONS......

Aaaj Bhi US ki

Monday, 26 August 2013

"Aaj bhi us ki ankhon Mein raaz wahi tHa
CheHra Bhi wahi tha CeHrey Ka libas B Wahi tha'
 

Kaisey Use bewafa keh don yaron !
Aaj bhi Us Ke daikhney ka Andaaz Wahi tha'





Love is Power

The only thing I learned from
Love is the power ,


 It gives 
 Someone crush you'

Dil Krta hai


"Dil Krta Hai K lipat jao 
Rooh Ban Kr jism se Tere
                     'SnM'
K jab tu mujhey khud se 
Juda krey to teri b Jann 
Nikal Jaye'

That makes you smile


"It's always to nice to have 
someone in your liFe'
That makes you smile 
even when you are 
Not around

You Can't Replace

"You can replace me But,
You can't replace the                          'MemorieS'
  You had with Me"

Sang Dil hai Wo


"Sang dil hai wo to Kiyon
   Us ka gila mene Kia                                 
Jab K khud patHr ko But ,
But ko khuda Mene kia"

Zra Paney Ki chahat Mein

"Zra Paney ki chahat mein 
Bohut kuch choot jata Hai'

Na jane saBr ka dhaga
Kaha Pr toot jata Hai'

Kisey hamrah kehtey Ho!
Yaha To apna saya  Bhi
Kahein Pr saath rehta hai
Kahein Pr rooth jata Hai'

Ajab se hain RishteyBhi
Bohut mazboot lagty hain
Zra si bhol Se Lekin !
Bhrosa toot jata hain'

Bikhrey Hain Hum

Sunday, 25 August 2013

"Sukhey paton ki tarah 
Bikhrey hain Hm to '
  
Kisi ne samaita Bi              to 
 Jalaney K Liey'

Tum Ne Bhula Kr

"Bhol jana to Rasm-e-Dunya ha SAQI !

 
Tum Ne bhula Kr konsa kamal Kr dia"



Pyr tera mila PR


 
"Ye kaisy mumkin hai  K
Zindagi mein Gam na mile'

"Koi hamein na milA
 Kisi ko hUm na mile'

"Kia chal chali hai 
  Muqaddar ne Mere Mj se'

"Pyar tera mila  Mgr !
 Tum Na Mile '

Tu jfa ki had mein na A ska

"Teri gaflaton ko khabR kahan 
Hum haal-e-dil pr nazar kahan'

"Tu jafa ki Had mein na Aaska 
Hum wafa ki Had se GuzR gaye"

Mery Dil ki Wafon Ka Hosla

"Merey dil ki wafaon ka hosla to Daikho Ae Dosto!
 

Talabgaar us ka hai jis ko mera Ehsaas Tk nahi '

Hamari bekhudi Ka Hal

"Hamari Be khudi ka haal Pochey wo aGr!
   
To kehna Hosh Bs itna ha K tum ko 
Yaad kRtey Hain"

Jism ki poja K

"Jism ki poja ko MOHABBAT kehta hai
    Aaj ka Falsafa '

"Yahi Dor-e-Hazir ki Mohabbat 
Hai to Mein jahil hi Acha '

Phir Us Hr ada se

"PHir Us ki Hr ada se chalakne laga Khuloos 
   
Jab mujh ko Aitbaar ki aadat nahi Rahi '

Kabhi Daikh tanha Sjr ko

"Kabhi daikh Dhoop mein Khrey tanha SjR ko
Aesey jalti hain wafaon ko nibhaney Wale!

Bus Aik shakhs Hi

"Bus aik shakhs hi kull Ka-e-naaat Ho jaisey
NzR na aye to din mein bhi raat  Ho jaysey '

"Merey labon pay tabassum ha Moj-zan ab Tk
  K dil ka tootna choti si baat ho jaisey '

"Shab-e-firaaq mujhey Aaj yon draati hai !
Terey baghair meri pehli hi raat Ho jaisey '

"Ussi ki yaad ki ye bhi to ik karamat Hai 
 Hazaar meel pay ho kar bhi sath Ho jaisey'

"Tera sulook mujhey Roz zakham daita hai
 Kisi ko pehli Mohabbat mein maat ho jaisey'

"Hamrey dil ko koi mangne na aya Ae DOST!
  K kisi Ghareeb ki beti ka hath ho Jaisey"


Baith jata hon kakh Pr

"Baith Jata Hon khakh Pr Aksr     

 Apni Aouqaat achi lagti Hai '

Tere baghair B hum

"EhSaas-e-Mohabbat k Liey Bs
Itna hi kafi Hai  K
 

Tere bagair Bhi Hum tere hi rehtey hai"

Bare Badnaseem Therey

"Bare badnaseeb theHry
Hum jo qaaar tak na Ponchey'
   
Dar-e-Yaar to ponchey ! Pr 
Dil-e-Yaar Na poinchey"

Kash wo mera Hota

"Ye meri Zaat ki sab se bari Tamanna thi
  
 Kaash wo mera hota mere naam ki tarah"

Mra karnama-e-zindagi

"Mera kaarnama-e-zindagi meri Hasraton
                  K siwa Kuch nahi'

"Ye kia nahi , Wo huwa nahi , Ye mila nahi ,
                        WO Raha Nahi '


Halka sa Tabassum

"Ik Hum  hi nahi Jurm-e-Mohabbat ke Khatawaar   



Halka sa tabassum Bi to shamil ta Udhar Se '

Chup jati hain

"Chup jati hain Aayina dikha Kr Teri Yadein
Sone nahi Dati teri yadein Shab Bhr Teri yadein'

Mehsoos kr Raha Hon

"Mehsoos kr raha hon 
 mein jeeney ki talkhiaan'

"Shayad muje kisi se 
MOHABBAT hi nahi rahi"



Rooz aata hai

"Roz aata hai mere dil ko tasalli dene 



Kheyl-e-yaar ko mera kheyaal kitna hai"

MOHABBAT ki adalat Mein

"MOHABBAT ki adalat mein shikayat 
 Kr Nahi skta '
Giley shikwey Muqabil ho to 
Chahat Haar jaTi hai'

Na janey kis Gali Mein

"Ujaley apni yadon K hamarey sath rehney do

  

Na Janey kis gali mein zindagi ki sham ho jaye'

Kuch Tm B dua Kro

"Sab yadon mein tumhari yaad hoti hai
Meri ankhon mein tumhari Talash hoti hai'

"Kuch tum b dua kia karo DOST !
Suna hai doston ki dua Mein 
RAB ki raza Hoti Hai"

Mein Tot ta hon

"Mujhe Bhi Ayiney jaisa Kamaal Hasil  hai
Mein Tot ta hon To beshumaar hota Hooon'''''

Hum to Asey Badnaam Huwey

                            

"Hum lakh achey Hain
Per log khrab kehtey hain'

"Bigra Huwa humko nawab 
 Nawaab kehtey Hain'
"Hum to Aesey badnaam
Ho Gaye Hain    SaQi !
Kpani bhi pi lein To
Log sharab kehtey hain........

Wo konsa waqt Hai

"Wo konsa Waqt hai K  Bholi ho teri Yaad
   
Wo konsi ghari hai K To robru Nahi "

Zindagi ko Badalne me waQt nahi lagta

"Zindagi ko badalne Mein waqt nahi Lagta
Waqt ko badalne mein Zindagi Lag jati hai"

Hum apni galtion K

"Hum Apni galtion k behtreen wakeel
                             Or
Dosroon ki galtioon K begtreen Jaj 
                   Hotey hain"

Jam Takrao waQt Nazuk hai


 
"Jam takrao , waQt nazuk hai 
Rang chalkao, waQt nazuk hai'

"Hasraton ki haseen Qabron Pr
Phol barsao, waQt nazuk hai '

"Ik Faraib Or zindagi K liye
Ab to A jao!  waQt nazuk hai'

"Tishnagi Tishnagi  Ae Toba 
ZULF lehrao , waQt nazuk hai'

"Bazm-e-saQi Gosh Br AawaZ
Kuch To Farmao WaqT nazuk hai'

Kheyalon Ki Rangeen JannaT

"Agr bazm-e-Insaan mein Aurat na hoTi
   Kheyalon ki rangeen jannat na hoTi '

"Sitaroon K dilkash fasaney na hotey
Pharoon ki nazuk haqeqat na hoTi '

"Jabinoon pe Nor-e-musarrat na khulta
Nigahon mein shan-e-musarrat na hoTi'

"Ghataon ki Aamd ko Sawan tarastey 
Fizaoon mein behki bagawat na hoTi'

"Faqiron ko Irfan-e-hasti na milta 
Ata zahidoon ko ibadat na hoTi '

"Musafir sadaa manzilon pe bhataktey
Safinoon ko sahil ki Qurbat na hoTi '

"Hr ik phol ka rang Pheeka sa hoTa 
Nasi-e-baharaan mein nakahT na HoTi '

Utho Soney Walo!

"Dilon ko Ujalo! SeHr ho gayi hai
Nigahein mila lo! seHr ho gayi hai'

"Utho kashti-e-zest ko zulmaton K 
Bhanwar se Nikalo! seHr ho gayi hai'

"Sanwaro ye ZULFEIN K shab kat chuki hai
Ye Aanchal shanbhalo! seHr ho gayi hai

"pighalne laga Hai Zameer mashiat 
Utho soney walo! seHr ho gayi hai '

"Bahron K Pholon se Ae Me-jamalo! 
Ziaayein Uchalo! seHr ho gayi hai "

Pholon ki Adayein pi Jao

"Zulfon ki ghatayein pi jaon 
  Wo jo bhi pilayein pi jao '

"Ae tashna dheyaane joor-e-khizaan 
  Pholon ki Adayein pi jao'

"Tareeki doran K maro !
Subhu ki Zeaayein pi jao'

"Nagmaat ka ras bhi nasha hai
Barbat ki sadayein pi jao '

"Makhmor sharabon K badley
Rangeein khatayein pi jao '

"Ashkon ka machalna theek nahi
     Be chain duayein pi jao '


Jhom Kr Gao, Mein sharabi Hon

Saturday, 24 August 2013



"Jhom Kr gao, mein sharabi hon
Raqs farmoa, mein sharabi hon'

"Aik sajda banam-e-Mekhana 
Dosto Ao, mein sharabi hon '

"Log kehtey Hai raat beet chuki
Mujh ko samjhao, mein sharabi hon'



"Aaj in raishmi Ghataon ko 
Yon na bhikrao, mein sharabi hon'

"Hadsey roz hotey rehtey hain
Bhol bhi jao, mein sharabi hon'

"Mujh pe Zahir Aap ka Batin 
 Mun na Khulwao, Mein sHrabi Hon...........

Tere paon ki dhool kehta hon


"Chandni ko rasool kehta Hon 
   Baat ko asool kehta Hon'

"Jagmagatey huwey sitaRoon ko
Tere paoon ki dhool kehta Hon'

"Jo chaman ki hayaat ko DaS le 
Us kali ko Bebol kehTa Hon'

"IttafaQan tumhaire milne ko
Zindagi ka Asool kehTa hon'

"Aap ki Saanwali si Morat ko 
ZoQ-e-yazdaan ki bhol kehta hon

"Jab kabhi Muyassar ho SaQi-o-Mena 
BarQ paroon ko Bhool kehTa Hoon.............

Jaam pi kr jo door tak daikha

"Jaam pi Kr jo door tak daikha 
Chashm-e-HasTi ne Toor tak daikha'

"Ye sharF ayiNey ko hasil hai
AyiNey ne Huzoor taK daikha'

"Chashm-e-dewana war jis ko mili 
   Us ne Had-e-shaoor tak daikh '

"Un ki ZulFOn ka rang paya hai 
Jab bhi TakhleeQ-e-Noor tak daikha'

"IjZ ki Roshni me Ae DoSt !
Hum ne baam-e-Zahoor tak daikh"

Khon badal se barastey daikha

    "Khon badal se barastey daikha 
     Phol ko shakh pe dsTey daikha'

    "Kitney baidaar kheyalon ko yahaa 
    Dam Ikhlaas mein phanstey daikha'

        "Dil ka gulshan beyabaa hi raha
         Aesa UjRa k Na bastey daikha '

"Khil gaya Jin pe Musarrat ka bharam
   Phir kabhi In ko na Hanstey daikha '

    "Ab kahaan Ashk-e-nadaamT SaQi 
        Aastinoon ko Tarastey daikha '

Aek wada Hai

"Aek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi 
Wrna in taron bhri raton mein ki ahota nahi'

"Hr shnaWr ko nahi milta TlaTum se Khraaj
Hr safiney ka muhafiz Na khuda hota nahi '

"Hr bhikari pa nahi skta Muqaam-e-Khuajgi 
Hr KaS-o-NaKaS ko tera Gham Ata hota nahi'

Loot Aye Hm Tumhari KhatiR

"Hum bari door se aye hain tumhari Khatir
Dil k armaan bhi laye hain tumhair khatir '

"Aesa ik sang jo taleef rah-e-manzil Ho
Manzilon Dhond k aye hain Tumhari khatiR'

"Kitni nakam Ummidon K diye phichle peHr 
Hum ne dariya mein bahaye hain Tumhari khatir'

"Ehd-e-Roshan K sakhn wr na bhulayein Ge kabhi 
Hum ne wo seHr jagaye Hain Tumhari khatiR'

"Hum na chahein ge kabhi Takht-e-Jamo Khsra K
Hum ne Armaan lutaye hain Tumhari khatiR'

"Hum waha thy K jahan Ashiq-o-SaQi they madam
    Dosto! Loot K aye Hain Tumhari khatir '

Ban Gye Ashk jafa ki TasviR

"Ban gaye Ashk jafa ki tasviR
 Khich gayi Aaj sada ki tasviR'

"Ehteyaat dil-e-Aashiq lazam 
Toot jati hain wafa ki tasviR'

"Fasl-e-gul per Chitaktey Gunchey
   Teri makhmor ada ki TasviR '

"Phir baja nala-e-sheywan ki Srod
 Raqs krti Hain  Saba ki TasviR '

"Bol Uthi Teri ley mein Aashiq !
 Aasmano per Duaa ki tasvR '

Guroon hai Hamein

"Unhein Koi Or chahe is bat se Hum
          Thora Thora jaltey Hain ' 
"Guroor hai hamein is baat ka K sab
   Hamari pasand Pr Hi MarTey Hain '


Mti gayien Roshni Me Tehrirein

"Mit Gayein roshni mein tehrirein 
"Jal gayein chandni mein Tasvirein

"Haye wo tere Anbrein Gasu !
Le Urey zindagi ki Tafsirein '

"Surkh kangan Kalayion me Hiley
 Hil gayein Do jahanon ki taQderein '
 
"Rasm-e-Farhad phir se krein Zinda 
Ao phir Pathron k Dil Chirein 

"Ae Mariz-e-ALam Tasalli rakh 
Chra gR kar rahey hain Tadbirein '
 
"Han Uchalo Hayaat Ke  SAGAR
    Suba-e-Meshar Mein Or takirein '

ChAr din Or justujo kr Lo

"Aabe Angoor se wuzoo kr lo Dosto !
          Baat-e-saboo kar loo '

"Gur bata dein ge badshahi k 
Hum faqiroon se guftugu Kr Lo '

"Un se milna koi muhaal nahi 
 Un se milney ki Aarzo kr Lo '

"Do Qadm Raigaan Huwe to kia!
Do Qadam Or justujo Kr Lo '

"Jashne Raaz-e-hayaat mein Ashiqoon !
    Chaar din Tum bhi hao Ho Kr Loo '

Hm ne pholon K wstey Ae Dost

"Kon un be wafa nigahon ko Darknoon 
               Zuban Samjhaye'

"Tum ne apno ki bat tak na suni 
  Hum ne gairoon k dard apnaye"

"Ae nigaroon ! Tumhari basti mein
      Rasta bhool kr  nikal Ayee '

"Anbreen Gas-u-oon Ki Uljhan ne
    Do jahanoon k Raaz Suljhaye '

"Hum ne pholon k wastey Ae DOst !
    Khar zaaroon mein hath phelaye '

Palkon pe Yar Ki

"Nigah-e-Yaar pe palkon ki Gar lagaam na Ho
Badan mein door talak zindagi ka Naam na Ho"

"Wo be NaQaab jo phirta hai gali kuchoon Mein
To kaise SheHr k logon mein QatL-e-Aam na Ho"

"Mujhe Yaqeen hai k Dunya k Dard barh jayein
    Agr Ye peeney pilane ka Ehtmaam na Ho"

"Bitha k saamney Bs daikhta raho Tujh ko
Tere siwa Mujhe duniya ka koi kaam na Ho"

"Jo is ko daikh le MeHtaab Ik NaZr , Ae dost '
Mere sheHr ki fizaoon mein kabhi Shaam na Ho"

Makade Bnd kre Zamana

"Maikade Band krein Lakh Zamane wale '

SheHr mein kam nahi Aankhon se pilane wale"

Geet Ashkon K likhon Or suna tuj ko

"Geet Ashkon se likhon Or sunaon Tuj ko
   Ye Arzo hai Phir Se gale Apne  lagaon Tuj ko'

"Raat din tera tassuvvur hai teri yaadein hain
   Tu bata de kaisey Bhulaoon tuj ko'
"Aa zara paas ki barsoon teri chahat k liey
   Mein ne jo khuaab sajaye Dikhaon Tuj ko'

"Be waja rooth gayi hai nigahein Teri 
   Ae meri jaan kaise manaon Tuj ko '

Mein ne seekha Mohabbat se

"Mein ne seekhey hain MOHABBAT se
MOHABBAT ke Asool ,

Sab se Mushkil hai kisi apne ko apna bana"

To phool ki Maand Kisi Guldan me rehTAa

"To phool ki mand kisi Guldaan mein rehTaaa
Lekin Tera cheHra mere Imkaan mein rehtaaa"

"Wehshat mere khuaboon se Hum aagoosh na hoti
     Ik tera tassavvur mere dhe-aan mein rehtaaaa"

"Lehja bhi badalta meri HasTi bhi nikharti '
Kuch rooz agar Aalm-e-wajdaan mein rehTaaa"

"Ik rooz to muje aana tha sateh zameen Per
Kab tak mein rawaan dasht k Tofaan mein rehta     
"Rehta mein tere Khuaab ki bedaar fizaa mein
Kushbu ki tarah to Mere Dewaan mein RehTaaa"

Wafa ki laAJ Mein

Thursday, 22 August 2013


"Wafa Ki Laaj Mein Us Ko Mana Lete Tu Acha Tha 
    Anaa Ki Jang Mein Aksar Judai Jeet Jati Hai"

Jo ik TO Mile to

"Meri khushi meri Zindagi Mukammal Ho jaye"

"Jo ik To Mile to meri Bandagi Mukammal Ho jaye"

Kitne Nazaron ko saza mitli hai

 
"Moj dar Moj kinaaron ko saza milti hai 
Koi dobe to sahaaron ko saza milti hai'
"Maikade se jo nikalta hai koi be nasha !
Chsham-e-saqi ke ishaaroon ko saza milti hai
"Aap ki ZULF preshaaa ka Tassavvur  Toba!
Nagaht-o-noor k dharoon ko saza milti hai'
"Jab wo daanton mein dabate hai Gulabi Aanchal 
       Kitne pur kaif naazaaron ko saza milti hai'

Nhi THi Chah

"Nahi thi chah kisi janisaar chahat ki
Yahi hai dukh K Ik baar to kaha hota"

Luta Ke IShq Mein


 
"Chupaye dil mein Gamoon ka jahan bethey hain
Tumhari bazam mein hum be zubaan bethey hain"
"Ye Or bat ke manzil pe hum ponch na skey
Magr ye kam hai ke rahoon ko chaan bethey hain"
"Fagan hai, drd hai, Sozofiraaq-o-dage alam

Abhi to ghar mein bohut mehrban bethey hain
"Ab Or gardish-e-taqdir kia sataye Gi 
Luta k Ishq mein Naam-o-nishaan bethey hain"

ZinDagi ko braye Awam krna hai

"Jinhein KHUDA ki tarah bolne ki aadat hai
Unhein zuban-e-bashr mein kalaam krna hai
"Mere shaoor ko hajat nahi takalluf ki !
Tajllioon ko nazar ka gulaam karna hai'
      
"Koi haqeer si shey daal mere sagar mein 
K   "ZiDaGi" ko Braye Awaam krna hai"

Zindagi ZeHr ki payali hai


"Aankh roshan hai jaib khali hai 
Zulmaton mein kiran sawali hai'
"Hadsey Lorioon ka hasil hai
Waqt ki Aankh lagne wali hai'
"Aayine se Huzoor hi ki tarah
Chsham ka wasta kheyali hai'
"Husn pathar ki aik morat hai 
Ishq pholon ki aik dali hai "
" Moot ik haseen manzar hai YAAR ,
Zidagi ZeHr ki peyali Hai...................

Mere Qareeb raho Me nahse Me hon

"Taron se mera jaam bhro! Mein nashe men hon
Ae saakinaan-e-khuld suno!Mein nashe me hon 
"kuch phol khil rahe hain Sarr-e-shakh maikada
Tum hi zra ye phol chuno! Mein nashe me hon
"Thero! abhi to subah ka tara hai sanufishaan 
Daikho mujhe faraib na do Mein nashe me hon
"Moot hai Ghm-e-hasti ki dhoop mein 
Bikhraa k ZULF sath chalo! Mein nashe me hon

"Maila Yonhi rahe ye sarre rahguzaar zeest 
Ab jaam saamne hi rakho mein nashe me hon!
"Payal chanak rahi hai nigar-e-kheyal ki !
Kuch Ehtmam-e-rqs karo! Mein nashe me hon'
"Mein dagmaga raha raha hon beyaban-e-Hosh
mein '

Mere Ab qareeb raho Mein nashe me hon"


Bandagi kheyalon ki

"Mujh ko pholon se shikayat hai na kaanton 
Se gila ,
Mein tere java-e-Rukhsaar ka dam bharta hon

"Mein nahi sheikh-o-barhaman ki aqeedat ka mizaar 
Bandagi apne kheyalon ki kia karta hon

Pholon ko Aag lag gayi


"Pholon ko Aag lag gayi nagmaat jal gaye
Soraj ki taiz dhoop mein lamhaat jal gaye '
"Ab daman-e-hayaat mein kuch bhi nahi raha"
    Frda ki sard Aag mein halaat jal gaye '
"Kaliaan chatak rahi hain ke sahkhon pe A 
Gunchon ki nakahtoon se mere haat jal gaye '
"Ab k baras bahar baseerat ko dass gayi 
Fikro nazar ke jhomte bagaat jal gaye '
"Saaqi lute lute hain , sitare bujhe bujhe
Shayad mere naseeb k din raat jal gaye '

Tajallioon se hmkinaar rehtey

"Kheyaal-e-yaar mein hum pur bahaar rehtey hain
Khizaan k din bhi hamein Saazgaar rehtey hain '
"Chaman mein Sirf hamara hi Zikr rehta hai
Birang-e-lala hamein dagdaar rehtey hain '
"Ye Or Baat K tum aaye ho to koi nahi 
Agar che Gham to yahan be shumaar rehtey hain'
"Jahan-e-qads bhi meri nazar se Guzra hai
Wahan bhi teri nazar k shikaar rehtey hain '
"Tujhey khabr nahi Mehloon mein bethney waley
Tere faqir Sar-e-rah guzaar rehtey hain '
"Baseeraton ko nikhara hum ne Ay dost 
Tajallioon se hamein hamkinaar rehtey '

Jo haadse ye jahan mere naam karta hai

"Jo haadse ye jahan mere naam karta hai
Mera shaoor Unhein Nazr-e-Jaam krta hai'
"Hamare chak-e-gribaaa se khailne waloon!
Hamein Bahaar ka soraj salam karta hai'
"Ham se Qoos-e-qazah ko mili hai rangeeni 
Hamre dar pe zamana Qayaam karta hai '
"Ye maikadah hai yahan ki hr ik shy ka Huzoor 
Ghme hayaat bohut Ehtraam karta hai '
"Yahi Shraab, Yahi Be nazir shy saaqi  !
Isi ka rang hamein lala faam karta hai
"Faqeha-e-shehr ne Tuhmat lagai Saaqi Per 
Ye shakhs DarD ki dolat ko Aam karta hai"  

TOot Jatey Hain

"Toot jatey hain , bikhar jatey hain, Kaanch K ghar 
Mein Muqaddar    " APNE '

"Ajnabi to sada pyaar se miltey hein, Bhool jatey 
Hein to aksR         " APNE ' 

"JO kabhi tere dil mein ho sawal k kitni hai mujhey 
Zarorat teri '
                              "JanaM"

To zara apni saans rok kar uski talab mehsoos kr lena.........

Jis ka dil tota Us se Pocho

"Rehne walon se nahi , jane walon se pocho K
Zindagi kia cheez hoti hai'

"Paane walon se nahi , khone walon se pocho k 
Izzat kia cheez hoti hai'

"Ameroon ko kia daikhte ho, zra gareebon se pocho k
Dolat kia cheez hoti hai'

"Are jis ne dil dia hai Us se nahi, Jiska dil toota Us se 
Pocho k MOHABBAT kia cheez hoti hai ! DOST 

TUm yaAd Aate ho Or hm Soya nahi krte

"Chalo Tum raaz ho apna, Tumhein Afsha nahi karte
"Suno jisko chaha jaye, Usey chora nahi kartey'

"Jisey shaFfaF rakhna ho, Usey Maila nahi krtey
"Jo bas jata hai dharkan mein, Usey Bhola nahi krtey

"Kisi ko dil  dete waqt bohut socha nahi kartey
"Jo pehle se hi tanha ho, Usey tanha nahi krtey

"Suno Yaadein staeyengi, Magr Roya nahi krtey
                         "Janaaa"

"Suno tum yaad aatey ho, Or Hum soya nahi kartey"

ROh ban jao teri

"Dil Karta hai lipat jaon Rooh ban kr tere jism sy, 

"K jab tu muje khud se juda kre to teri bi Jaan Nikal Jaye"

Ya Rab tre Jahan k kia haal ho gaye


"Ya RaB tere jahan ke kia haal ho gaye'
Kuch log khuahishaat ke dalaal ho gaye'
"Tapti rahi hai Aas ki kirnon pe zindagi'
Lamhe judai k Meh-o-saal ho gaye'
"Bhol hai rang rang ko dunya ki nartaki !
Nagme Rubaab-e-waqt ke be taal ho gaye 
Wahsht mein apne tare gareeban hi dostoo!
Uljhe to her qadam pe giraan jaal ho gaye 
Ae dost jo kal khile they gunchey kahan gaye 
Hangama-e-bahaar mein pamaal ho gaye'

"Kuch log bicha kr kantoon ko gulshan ki tawaqqu rakhtey hain 
sholoon ko hawayein de de kr sawan ki tawaqqu rakhtey hain"

"Mahool k taptey seh-raa se halaat ki ujri shakhon se
Hm Ehl-e-junon pholon se bhrey daman ki tawaqqu rakhtey hain"

"Jab sara Asaasa lut jaye Tskeen-e-safar ho jati hai
Hum rah numaoon k badley rahzan ki tawaqqu rakhtey hain"

"Sangeen chattanon se dil k dukhne ki shikayat krtey hai !
 Zulmat k nagr mein Norani Aangan ki tawaqqu rakhtey hain'

"Wo gasu-ye janaan hoon sagar ya gardishe doran k saye
Ae daye muqadar donon se Uljhan ki tawaqqu rakhtey hain

BarsAat K Din hai

"Surahi jam se takraiye barsaat k din hain
Hadis-e-zindagi duhraiye barsaat k din hain
"Safina le chala hai kis mukhalif simt ko zaalim
Zra mallah ko samjhaiye barsaat k din hai'
"Kisi pur noor tuhmat ki zrorat hai ghataoon ko
Kahein se meh-vishon ko laiye barsaat k din hain
"Tabiat gardish-e-doraan ki ghabrai huwi si hai
Preshan ZulF ko suljhaiye barsaat k din hain'
"Baharein in dinon dasht-e-beyabaan mein bhi aati hain!


Faqiron pe karam farmaiye barsaat k din hain'
"Ye mosam shorish-e-jazbat ka makhsos mosam hai
Dil nadaan ko behlaiye barsaat k din hain'
"Suhaney Anchlon k saaz per Ish-aar yaar k 
Kisi be chain dhun mein gaiye barsaat k din hai'

Jalve Machal Rahe Hain

Wednesday, 21 August 2013

"Jalve machal rahey hain nazaaron ki aag mein 
 Kuch phol jal gaye hain baharoon ki aag mein' 
"Aashuftagi se choor hain zulfoon ki badliaan
  Saqi sharab daal chinaroon ki aag mein '
"Kehti hain na Khuda se ye mojoon ki shorshein 
Tere bhi mashwarey they knaaron ki aag mein'
"ALLAH re yaqeen-e-mohabbat ki dastaan 
  Daman sulag raha hai sitaron ki aag mein'
"Garme-ye nahi to pyar k do bool hi sahi 
Kuch to kami ho badah gasaaroon ki aag mein'
"Palkoon pe bheegi bheegi hain kajle ki doriaan 
Shabnam sulag rahi hai shararoon ki aag mein'
"Yaar rahein ge ronaqe-e-bazar Aaarzoon!
Ash-aaar jo likhe hain nigaaron ki aag mein'

Aesi Tajalliaan hain kaha Aaftab mein!

"Aesi tajallian hain kahan Aaftaab mein 
Anwaar-e-khaas hain mere jam-e-shraab mein'
"yazdaan ne muskura k bari dair mein likha
Ik lafz-e-Aarzo mere dil ki kitaab mein'
"Ab zooq-e-deed mein hai shaoor hayate No
Jalvuoon ko Ehteyaat se rakho kitaab mein'
"Mehboob tere Husn se gunchoon ki aabroo
Khushbu tere badan ki basi hai gulab mein'
"Hai bagban ki tirchi tazar itni baat per
Sholoon ki zikar Aa gaya shabnam k baab'
"Ae dost kisi ki yaad mein jab Ashq baha re they
 Kitne haseen din they jahan-e-kharaab Mein'

Mojb-e-Ruswai


"Is darja-e-Ishq mojab-e-Ruswai ban gaya
Main aap apne ghar ka tamashai ban gaya'
"Dair-o-haram ki rah se dil bach gaya magar!
 Teri gali k mor pe sodaai ban gaya'
"Bazm-e-wafa mein aap se ik pal ka saamna 
 Yaad aa gaya to Ehd-e-shanashai ban gaya'
"Be sakhta bikhar gayi jalvouon ki kayenaat
  Aayina toot kr teri angrai ban gaya'
"Daikhi jo raqs karti huwi moj-e-zindagi 
 Mera kheyal waqt ki shenshai ban gaya'



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Blog Archive