World Peotry Page (HI..THIS IS NOT JUST A BLOG, IT'S A PART OF MY HEART, MY EMOTIONS, AS IT CONTAIN MY OWN CREATIONS.... YOU CAN FIND HERE "LOVE SHAYARI, SAD SHAYARI, GHAZALS, LOVE SMS, FRIENDSHIP QUOTES,. IT MAY TOUCH YOUR HEART, SO KEEP GIVING LOOKS WITH NOT JUST YOUR READINGS BUT TRY TO TOUCH MY EMOTIONS......

KiA Smaa Tha bahar se phele

Saturday, 27 July 2013

"Kia  samaa tha bahaar se pehley         
 Gham kahan tha bahaar se pehley
     Aik nanhna saa Aaarzo ka dia      
      Zufishan tha bahar se pehle
    Ae mere dil k chiraag tu hi bata
     TU kah tha bahaar se pehley
Pichli shab mein khizaan ka sannata
  Ham zubaan tha bahaar se pehley
Ab janaza hai chaar tinkoon ka 
 Aashiyana tha bahaar se pehley
Chandni mein ye Aag ki dariya
  Kab rawaan tha bahaar se pehley
Lut gayi dil ki zindagi Ae chshm-ebaddoor
 Dil jawaan tha bahaar se pehley


"Aaj roothey huwey sajan ko bohut yaad kia
 Apne ujrey huwey gulshan ko bohut yadd kia
Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghaira hai hamein
 Gesuye yaar ki uljhan ko bohut yaad kia
Shamma ki joot pe jalte huwe parwanon ne!
 Ik tere shula-e-daman ko bohut yaad ki
Jis ke mathy pe nayi subu ki jhoomar ho gaya
 Ham ne us waqt ki dulhan ko bohut yaad kia
Aaj totey huwey sapnon ki bohut yad aayi
 Aaj beety huwey saawan ko bohut yaad kia
Ham sir-e-toor bhi mayoos-e-tajalli rahey 
 Us dariya ki chilman ko bohut yaad kia
Mutma in  ho gay dam-o-qafs mein jana
 Ham aseeron ne nashmeen ko bohut yaad kia"

Zamana Bekhabar

Thursday, 25 July 2013


"Dard ke maroon pe hansta hai zamana be khabar!
  Zakhm-e-hasti ki kisk se hai nishana be khabar!
 Nakahton k saaye mein bikhrey huwey hain chand pohol
 Bijlion ki yorishon se aashiyana hai be khabar!
 Husn-e-barham ko nahi haale preshan se Garz!
 Saaz-e-dil ki dharkanon se hai tarana be khabar!
 Donoon Aalam wus at-e-Aagosh ki Tafseer Hain!
 Daikhney mein hai nigahe mehrmana be khabar!
 Aap apne fun se nawaqif hai hamari nazar 
 Laal-o-gohr ki ziaayon se khazana hai be khabar! 

Zindagi

"Sooney chandi ki chamakti huwi mezaanon mein
 Mere jazbaat ki taskeen nahi ho sakti 

Zindagi rooz-e-Aoval se hai chalkta huwa 'ZHER'
Zindagi Laaiq-e-tahseen nahi ho skti

Kisi ko bhati rahi CHandni


"Kis ko bhati rahi raat bhar chandni '
     Ji jalati rahi raat bhar chandni'
TimTatey rahey hasratoon k diye
 Muskurati rahi raat bhar chandni
Aik haseen jism ki tara Aagosh mein
 Kismisati rahi raat bhar chandni
Ashk pitey rahe Hum , kisi or ko
Mey pilati rahi raat bhar chandni
Ik shabnam k qatre ki taqdeer ko !
Aazmati rahi raat bhar chandni"

Baat pholon ki



"Baat pholon ki suna kartey they 
  Ham kabhi Sher kaha kartey they
      Ab kahan easi tabiat wale!
 Choot kha kr jo duaa karte they
Tark-e-Ehsaas MOHABBAT  mushkil
 Haan magar Ehl-e-wafa kartey they
Bikhri Bikhri huwi 'ZULFOON' wale!
 Qafiley rook lia kartey they
Aaj Gulshan mein shuguf-e-jani 
Shikwa-e-bade saba kartey hain"

Hamein Zeba nahi Deta

"Hamein Zeba nahi deta Rah-e-dushwar ka manzar
 K sheraoon mein bhi barsaat ki taleem detey hai"

Jaha SaQi sharab-e-zindagi ik zehr Qatil hai
Yaqeen waley wahan khadshaat ki taleem detey hain"

SaQi ki ik Nigah



"Saqi ki Ik nigah k afsaane ban gaye
  Kuch phol toot kr mere pemaney ban gaye
Kati jahan qasoor-e-jana mein ik sahb
  Kehtey hain log Us jaga but khaney ban gaye
Jin par n saaye 'ZULF' gazalaan k pare
  Ehsaas ki nigah mein werane ban gaye
Jo pi skey na surkh laboon ki tajalliaan !
 Duniya k tajurbat se anjaney ban gaye
SaQi wahi muqaam hai Ik manzil-e-faraaz
 Apne bhi jis muqaam par begaane ban gaye"

Chshm-e-Saqi

Wednesday, 24 July 2013



"Chshm-e-saqi ki inayat pe pabandi hai
  In dinon waqt halaat pe pabandi hai
Bikhri huwi 'ZULFON' ke fasaney chairo
  Mekashoo! Ehd-e-zrabatpe pabandi hai
Dil shikan ho k chaley aaye teri mehfil se
  Teri mehfil mein to her baat pe pabandi hai
Dard utha hai Lahu ban k uchlney k lie
  Aaj tak kehtey hain jazbaat pe pabandi hai
Har tamanna hai koi doobta lamha jaisey 
  Saaz magmoom hain nagmaat pe pabandi hai
Kehkishaan baam suraya ke taley soi hai
  Chand be rang sa hai raat pe pabandi hai
Aag sinoon mein lagi , sagaro meena chalkey 
 Koi kehta hai k barsaat pe pabandi hai

HANS NAHI SAKTEY

Tuesday, 9 July 2013

 "Hans nahein saktey shugoofe tazgi se rooth kar 
 Hum zamane mein jiye zindagi se rooth kar!

 Khud manane k lie aye mujhe dair-o-haram                         Sajda-e-ilhaam paya bandagi se rooth kar !











 Ghum se ronaq ho gayi kashana-e-taqdeer mein
                Mutma in hai dil ki dunia har khshi se rooth kar!
 Aik din saqi yahi toote huwey jaam-o-suboo 
                 mekadey tarteeb dein ge tishnagi se rooth kar !
 Sochte hain hasraton k moor par sham-o-sehr 
                 Jayein ge kahan ' Mohabbat ' ki in galion se rooth kar"

MehFilein Lut Gayein

"Mehfilein lut gayein , jazbat ne dam toor dia 
 Saaz khamosh hain , nagmaat ne dam tor dia!
                                                 Her musarrat gham-e-deroza ka Unwan bani                
 Waqt ki god mein , lamhat ne dam tor dia!
 Un gint mefilein mehroom-e-charagan hain abhi
 Kon kehta hain k zulmaat ne dam toor dia!
 Aaj phir bujh gaye jal jal k ummeedon k chirag
 Aaj phir taron bhari raat ne dam tor dia !
 Jin se afsaan-e-hasti mein tasalsul  tha kabhi
 In mohabbat ki riwayat ne dam tor dia !
 Jhil milate huwe ashkon ki lari toot gayi 
 Jag magati huwi barsaat ne dam tor dia!
 Haye , Aadaab-e-mohabbat k taqaze sagar 
 Lab hile or shikayat ne dam tor dia !

CHAND SITARE SO GAYE

"Gul huwi shama-e-shabistan , chand sitare so gaye 
                         Moot pehlu me shaam-e-gham k maare so gaye 
 Be qaraari main bhi aksar dard mandaan-e-junoon
                         Ae fareb-e-aarzo tere saharey so gaye 
 Karobar-e-garmi doran ki thandi raakh main

                        Ae shugofon k khudawand ! shararey so gaye
 De rahi hai aaj bhi mooj-e-hawadas loriaan 
                        Shorshe toofan se ghabra kar kinare so gaye
 Jin se jagme they wafaoon ke sarapa zindagi
                        Wo mohabbat ki tilawat k ishare so gaye
 Kia nahi maloom tujh ko Ae mere magmoom dil 
                         Jin se nazrein thein shugufta wo nazaare so gaye
 Jin k dam se bazm-e-sagar thi hareef kehkishan 
                        Ae shab-e-hijraan kahan wo mah pare so gaye

KALION KI IK MEHK HOTA

Monday, 8 July 2013

"Kalion ki mehk hota  taaron ki 'Zia'  hota 
                 Mian bhi tere gulshan main pholon ka khuda hota 
  Her chiz zamane ki aayina dil hoti !
                 Khamosh mohabbat ka itna silah hota 

Tum haal-e-preshan ki pursish k liey aati 
                 Sehraaye tamanna mein mela sa laga hota
Har gaam pe kaam aate zulfon k tere saaye 
                 Ye qaafla hasti be rahnuma hota
Ehsaas ki doli per ik phol mehkta hai
                 Zulfon k lie tum ne aik roz chuna hota"

PHOL CHAHEY THEY

"Phol chahey they magar hath mein aye pathar
 Hum ne aagosh-e-mohabbat mein sulaye pathar!

"Wah shat-e-dil key takalluf  ki zrorat ke liey
 Aaj us shookh ne zulfoon mein sajaye pathar!
"Un ke qadmon ke taley chand sitarey daikhy
 Apni rahoon mein sulagtey huwey paye pathar!
"Main teri yaad ko yon dil mein liey phirta hon
 Jaise farhad ne seeney se lagaye pathar!
"Fikrey sagir ke khredaar na jholein ge kabhi
 Main ne askkon ke Guhr they jo bnaye pathar

Panj Rukn Islam De, Te Chaiwan Farida Tuk,
Je Na Labhe Chaiwan, Te Panje E Jande Muk..

Heart beat


Adhori Pyass

Sunday, 7 July 2013

"Bas aik han ke intazar main rat yun hi guzar jaye gi 
              Ab to bas uljhan hai sath mere neend kahan aye gi"

"Subah ki kiran na jane kon sa paigham laye gi 
              Rim jhim ki gun gunaye gi ya payas adhori reh jaye gi"

Koi Sune Ga TO Kia Kahe Ga

Kisi ke gham main waqar khona, koi sune ga to kia kahe ga
                  Ye uth raaton ko tera roona, koi sune ga to kia kahe ga 

Ye shab ko jagna din ko soona, koi sune ga to kia kahe ga 
                  Kisi ke gham waqar khona, koi sune ga to kia kahe ga

Bhanwar main khashti ko chor dete, to baat aap per bhi na aayi
             Ye mujh ko sahil pe laa dubona, koi sune ga to kia kahe ga 

Kaha jo main ne daro khuda se! agr khudar ka dar nahi hai
             To hans ke bole chup raho, na koi sune ga to kia kahe ga

Bholi Huwi sada hon



" Ghazal"

Bholi huwisada hon mujhe yaad kijiye                          Tum se kahein mila hon mujhe yaad kijiye                                     Manzil nahi hon "KHIZAR" hon rahzan nahi                         Manzil ka rasta hon mujhe yaad kijiye

Meri nigahe shoq se her dil hai dewata                        Main ishq ka khuda hon mujhe yaad kijiye

                          



Nagmon ki ibtada thi kabhi merey naam se                   Ashqon ki intehaa hon mujhe yaad kijiye
Gum sum khari hain dono jahan ki haqiqatein              Main in se keh raha hon mujhe yaad kijiye
Sagar kisi key husn-e-tagafil  sha aar ki                    Behki huwi ada hon mujhe yaad kijiye

Loving Heart

If I had to chosen between  loving you and breathing 

I would use my last breath 
to say    "I LOVE YOU"

Us Ki Yadon Main

Us ki yaadon main doob jati hon                 
Khud ko tanha kabhi jo pati hon
Qatra Qatra wajod se le kar,
Khuahishon ko lahu pilati hon
Chandni shab main us ki aankhon main
Ashk ban kar main jhilmilati hon
Ik khushi ke hasool ki khatir
Kis qadar ranj main uthati hon
In dinon hai mizaj-e-dil barham
Roona chahon to bhi muskurati hon
Sochti hon k bhol jao use 
Bat ye karne lagti bhi hon to ye bhol jati hon
Naz nazuk mizaj ho wo bhi 
Is lie chah k bhi kuch haq nahi jata pati hon

Aankhon Main koi

"Aankhon main koi khawb uterney nahi deta
Ye dil hai k mujhe chain se marne nahi deta
Bichrey to ajab pyaar jatata hai khaton me
Mil jaye to phir had se guzarne hi nahi deta
Wo shakhs khizan rut main bhi rahey muhtat kitna

Sukhey huwey paton ko bikharne bhi nahi deta
Ik roz teri payas khreda ga wo ghabhru!
Pani tujhe panghath se jo bharne nahi deta
Wo dil me tabassum ki kiran gholne wala
Ruthey to ruton ko bhi sanwarne nahi deta
Main us ko mitaon k gham-e-dohr se uljhon
                             Mohsin
         Wo koi kaam krne bhi to nahi deta"

Kabhi Easa Na Krna

"Tum rooth jao mujh se kabhi easa na krna
                      Main ik nazar ko tarson kabhi easa na krna

Main poch poch haaron so so sawal kr ke
                      Tum kuch jawab na do kabhi easa na krna

Mujh se hi mil k hansna ,mujh se hi mil k roona 
                      Mujh se bichr k ji easa kabhi na krna

Tum chand ban k rehna main daikhta rahon ga
                      Kisi roz tum na niklo kabhi easa na krna

Tum chaley jao jab bhi, daikhon tumhara hi rsta
                      Tum loot k na ao easa kabhi na krna

Barson guzr gaye

                                 "Barson guzar gaye, ro kr nahi daikha 
                                  In aakhon ko aans-u-on se dho kr nahi daikha 



Wo kia jane mohabbat kia cheez hai
Jis ne kabhi kisi ka ho kr nahi daikha"

Ja Raha hai koi

Saturday, 6 July 2013

                  "Fana k baad bhi sata raha hai koi 
                Nishan qabr ke mita raha hai koi
Mere khuda mujhe thori si zindagi de de
Udas meri qabr se ja raha hai koi"

Bichra Gaya

    

  "Bichra koi shakhs is adaa se k raat hi badal gayi
       Aik shakhs sarey shehr ko Veraan bana gaya"


Lot Aana

"Udas shamein , Ujaar rastey kabhi bulayein to loot aana

 Kisi ki aankh main ranjishon ke azab ayein to lot aana"

"Abhi nayi wadion, nayi manzilon main reh lo meri jaan
 Ye sarey aik aik kr ke jam tum ko chor jayein to loot aana"

"Naye zamaney ka qurb oorhey zaeef lamhey nidhaal yaadein
 Tumharey khabon k band kamrey me loot ayein to loot aana"

"Agar andhairo main chor kr tum ko bhol jayein tumhare sathi
 Apni khatir apne diye jalayein to loot aana"

"Meri wo batein jin pe to be ikht-e-aar hansta tha khil khila kr
 Ae bicharney wale! Meri wo batein kabhi rulayein to loot aana"

Intazar hai mujhe

"Intazar hai mujhe aise shakhs ka 
 Jo mujh pe pyaar ki inteha kr de"

"Chupaye mere aiboon ko apne aib samajh kr
 Mere dard ko apne hi jism ka dard samajh kr"

"Wo hamesha mere pas rahe mera ban kr
 Kisi or ki tarf na pal bhar daikhe"

"Main us se har baat uoon hi keh don
 Lekin wo mera kabhi bharam na torey"

"Mere raaz ko apne raaz se barh kr samjhey
 Apne dil ki bat mujhe apna dil samajh kr keh dey"

"Main us pe pyaar ki inteha kr don
 Wo mere pyaar se barh kr mujhe chahey"

"Na jane kab mile ga wo mujh ko 
 Kahein moot tamam kr na daley"

"Main har lamha us ke intazar main rahon
 Mere kab mujh ko aa mile" 

Hai Ik Duaa

"Hai duaa magar harf-e-duaa yaad nahi                

 Mere nagmaat ko andaz-e-nawa yaad nahi"


"Hum ne jin key lie raahon me bichaya tha laho

 Hum se kehte hain wahi , ahd-e-wafa yaad nahi"

"Zindagi jabar se musalsal kati hai 
 Janey kis jurm ki payi hai saza yaad nahi"

"Main ne palkon se dariya pe dastak di hai
 Main wo saail hon jise koi sada yaad nahi"

"Kaise bhar aayein ,sar-e-shaam kisi ki aankhein
Kaise thrrati chraagon ki ziaa yaad nahi"

"Sirf dhundhlaye sitaron ki chamak daikhi
 Kab huw, kon huwa, mujh se khafa yaad nahi"

"Aao ik sajda krein aalam-e-mad hoshi  main
 Log kehtey hain k sagar ko khuda yaad nahi" 

Tere Bina

Wednesday, 3 July 2013

                                         Aziat apni qismat thi            Aziat se nahi nikle  
                                   
 
                       Juda ho kr bhi hum donon "Mohabbat " se nahi nikle
                       Anaa ke dairey main thy               so ik doje ko dhutkara
      Magar phir bhi umar bhar hum  donon     malamat se nahi nikle
                     Qadam chokhat pe rakhte hi          ye baazu phail jate hain
              "Mohabbat" se nikal  aaye hain          aadat se nahi nikle
                Bohut mumkin tha k ruk jate             pukara hi nahi tum ne
                 Tere kuchey se to hum                      itni ajabat se nahi nikle
              Mere jazbat ab jana                           mere bas main nahi rehte
                  K aansu ab teri khatir                       ijazat se nahi nikle

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...