"Dard ke maroon pe hansta hai zamana be khabar!
Zakhm-e-hasti ki kisk se hai nishana be khabar!
Nakahton k saaye mein bikhrey huwey hain chand pohol
Bijlion ki yorishon se aashiyana hai be khabar!
Husn-e-barham ko nahi haale preshan se Garz!
Saaz-e-dil ki dharkanon se hai tarana be khabar!
Donoon Aalam wus at-e-Aagosh ki Tafseer Hain!
Daikhney mein hai nigahe mehrmana be khabar!
Aap apne fun se nawaqif hai hamari nazar
Laal-o-gohr ki ziaayon se khazana hai be khabar!
0 comments:
Post a Comment