"Gul huwi shama-e-shabistan , chand sitare so gaye
Moot pehlu me shaam-e-gham k maare so gaye
Be qaraari main bhi aksar dard mandaan-e-junoon
Ae fareb-e-aarzo tere saharey so gaye
Karobar-e-garmi doran ki thandi raakh main
Ae shugofon k khudawand ! shararey so gaye
De rahi hai aaj bhi mooj-e-hawadas loriaan
Shorshe toofan se ghabra kar kinare so gaye
Jin se jagme they wafaoon ke sarapa zindagi
Wo mohabbat ki tilawat k ishare so gaye
Kia nahi maloom tujh ko Ae mere magmoom dil
Jin se nazrein thein shugufta wo nazaare so gaye
Jin k dam se bazm-e-sagar thi hareef kehkishan
Ae shab-e-hijraan kahan wo mah pare so gaye

0 comments:
Post a Comment