"Hans nahein saktey shugoofe tazgi se rooth kar
Hum zamane mein jiye zindagi se rooth kar!
Khud manane k lie aye mujhe dair-o-haram Sajda-e-ilhaam paya bandagi se rooth kar !
Ghum se ronaq ho gayi kashana-e-taqdeer mein
Mutma in hai dil ki dunia har khshi se rooth kar!
Aik din saqi yahi toote huwey jaam-o-suboo
mekadey tarteeb dein ge tishnagi se rooth kar !
Sochte hain hasraton k moor par sham-o-sehr
Jayein ge kahan ' Mohabbat ' ki in galion se rooth kar"

0 comments:
Post a Comment