"Mehfilein lut gayein , jazbat ne dam toor dia
Saaz khamosh hain , nagmaat ne dam tor dia!
Her musarrat gham-e-deroza ka Unwan bani
Waqt ki god mein , lamhat ne dam tor dia!
Un gint mefilein mehroom-e-charagan hain abhi
Kon kehta hain k zulmaat ne dam toor dia!
Aaj phir bujh gaye jal jal k ummeedon k chirag
Aaj phir taron bhari raat ne dam tor dia !
Jin se afsaan-e-hasti mein tasalsul tha kabhi
In mohabbat ki riwayat ne dam tor dia !
Jhil milate huwe ashkon ki lari toot gayi
Jag magati huwi barsaat ne dam tor dia!
Haye , Aadaab-e-mohabbat k taqaze sagar
Lab hile or shikayat ne dam tor dia !

0 comments:
Post a Comment